Kis dharti se aaye ho tum

Kis dharti se aaye ho tum
Kis nagri ke basi re
Prem nagar he des tumhara
Phirte kahan udaasi re

Kyon hote ho jogi bhogi
Rogi trah baragi re
ANg babhoot rama ke kyon kar
Rakhe badan sanyaasi re

Apna aap sambhal ke dekho
Karke nazar haqeeqat ki
Fikar na keejo yaaro hargiz
Aasi ya na aasi re

Tum ho saage tum ho saagi
Waagi zara na waagi re
Apni zaat sifaat ko samjho
Apni karo shanasi re


Baat Faridi soch ke sunio
laa kar dil ke kanon ko
Donon jag ke malik tm ho
Bhole Allah rasi re