Mere loon loon cheekh pukar we

Mere loon loon cheekh pukaar we
kabhi sanwal mor muhaar we

Mere loon loon cheekh pukaar we
Kabhi sanwal mor muhaar we

Me beech bari manjdhar we
Mujhe darya paar utaar we

Mere hathon me chamke kangna
Mujhe piya manane ka dhang na

Mere honton pe ik muskan we
Tere hathon me meri jaan we

Meri zulf na cher hawa ni
Aanchal na mera lehra ni

Mera dil hamraz na kar ni
Mera pi naraz na kar ni

Tere sar pe haseen dastaar we
Hameen teri adaaon se piyaar we

KahaN kho gaye tum dildar we
KahaN ja ke basaya ghar baar we

Koi khat, patar, na taar we
Kabhi sanwal mor muhaar we

Mere loon loon cheekh pukaar we
Kabhi sanwal mor muhaar we